Thursday 25 October 2012

Kuch apne sapne !!



ye andhera kyun hai mujhse rutha..
ye sannata kyun hai mujhse khafa..
dilo ki baaton ko chupa ke rakha hai mann mein..
ek bholi si surat ko basa ke rakha hai mann mein..
sandil si hansi,sharmeeli si adaa..
na unhone kuch suna na maine kuch kaha..
dheemi si aahat thi..
aankhon mein nirasha..
dil mein jagi thi.. 
unke aane ki aasha..
har taraf dekha soona laga jahan..
na jaane chupi wo thi kahan..
ab to sapne bhi kore lagte hain..
dil ki sune to khud bhi adhure lagte hain..
kabhi to suno mere mann ki baat..
puri karo mere dil ki fariyaad..
aise sapne dekhun mein roz mann mein..
alarm na uthaye to shayar ban jaun aanan faanan mein...

No comments:

Post a Comment